Main Wo Nahin Hoon by Saurabh Dubey
‘ Main Wo Nahin Hoon ‘
Main wo nahin hoon, Jo logon ne jaana hai.
Main to wo hoon, Jo maine khud ko maana hai.
Main nikla hu khud ki khoj me.
Meri talaash thodi adhuri si hai.
Mil hi jaunga raahon me chalte chalte.
Meri apne se thodi doori si hai.
Khud ko talaash ne ki khwaish me, Is maqaam pe aaya hai Safar mera.
Manzil hai kahan , Rasta hai kahan, koi khabar nahi hai.
Main chala hi hoon aise Safar mein.
Jisme mera koi Hamsafar nahin hai.
– Saurabh Dubey
How useful was this post?
Click on a star to rate it!
Average rating / 5. Vote count:
We are sorry that this post was not useful for you!
Let us improve this post!
Thanks for your feedback!